Monday, July 14, 2008 1 comments

BOOND


Baarish ki in girti boondo ko dekh,
Sochti ho ki kaash main ek boond hoti.
Kaale badalon se apaar dharti ke safar mein,
Na koi bandish,na koi lagav.
Na koi moh,na koi maya.
Na koi uljhan,na koi suljhan.
Bas girti rehti mein
Un asankhya boondo ke saath.
Vayumandal ko chirti,
Girti mein kahin dharti par,
Aur mil jaati un baki boondo mein.
Kho jata mera wajood un mein.
Lekin pahuch jaati mein wapas,
Un kaale badalon ki god mein.
Phir girti,phir milti,phir kho jati,
Par phir ban jati mein ek Boond.
Boond,Baarish ki ek Boond.
 
;