KYUN bheed mein bhi gherti hain tanhai?
Kyun ujjaale mein bhi ubharta hain andhera?
Kyun aaj se zyada pyaara mujhe guzra hua kal hain?
Kyun aaj se zyada mujhe aane wale kal ki parwah hain?
Kyun niraasha mein panapti hain asha kahin?
Kyun mushkile bhi lagne lagti hain aasan?
Kyun dil karta hain bandishe todne ko?
Kyun dil karta hain ichao ki udaan bharne ko?
KYUNKi yehi to hain ZINDAGI,
jo chalti rehti hain,
bina thame bina mude,
le jaati hain yeh hume bahut si galiyo se
koi patli toh koi chaudi
koi andheri toh koi jagmagati hui
koi asaan to koi mushkil
koi ubad khabad toh koi samtal
agar chale hum ZINDAGI ke saath
toh tanhai mein bhi milega hume saath
kyunki yehi toh ZINDAGI hain!
Bhutan’s Queen
10 years ago
1 comments:
agar chale hum ZINDAGI ke saath
toh tanhai mein bhi milega hume saath
kyunki yehi toh ZINDAGI hain!
"lets walk the long road together hand in hand that is waht life is allabout
companionship in the face of loneliness
Post a Comment