Wednesday, February 28, 2007 3 comments

ANISHCHIT

Anishchita se ghiri,
Ajeeb khayalo mein doobi,
Aparichit bhavanayen mehus karti,
Anjaan se aakash ko dekhti hain.
Najaane kyun ek khidki se ,
Dekhti rehti hain us aakash ko,
Khadi kyun nahi rehti woh,
Khule aasman ke tale.
Kya yeh ghabrahat hain,
Ya kya yeh dar hain,
Ghabrahat naye mahaul se,
Dar naye logo se.
Yeh ghabrahat hain apni bhavanao se,
Yeh dar apne khayalo se.
Anishchita hain apne aap se.
Kab niklegi vapas suraj ki dhoop mein,
Kab bheegegi vapas baarish mein.
Kab hogi door yeh Anishchita.
 
;